Shayrana Andaz...

Romantic Mode...

1.
Phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi toh pyaar javaan hota hai,
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai.

2.
Masoom hote hai jo mahobbat se anjan hote hai….
pal do pal mahobbat wale aksar be-iman hote hai…
jo najro se kuch keh jaye wo  mahobbat ke salaam hote hai….
jinki mahobbat masoom ho wo sachi mahobbat ke  insaan hote hai…….


3.
Bin tumhare zindagi jiya to kya jiya….
tumhari in surmayi aankhon ka zaher piya nahi to kya kiya…..
kar di poori zindagi meri ab tumhare havale….
kar liya hai faisala humne jab jina hai sirf ek hi baar….

4.
Taras gaye hain mere nayan tumhari ek nazar pane ke liye
Pyase hoonth mere bekarar hai tumhare ek naram ahsas ke liye
tumhara har ek sparsh kabhi bhula nahi saka hoon mein
khade ho jate hain ronkte abhi bhi sirf tumhari yaad mein
kaun hai tu batalade zara mujhe, pari ho ya koi apsara
jo koi bhi ho tum, chen nahi aata hai mujhe ab tumhare bina…

5.
Ek Umer ke Baad Us ko Dekha
Aankhon Main Sawaal Thay Hazaron

Honton pe Magar Wohi Tabbassum
Chehrey pe Likhi hui Udasi

Awaaz Main Goonjti Judai
Main Kaise Shajar Se Katee Raah Tha

Woh Ponch Raha Tha Aansoo Merey
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…

6.
Ye rishte pyaar mohhabat ke aajmaye nahi jaate
Agar toot bhi jaayain dil se bhulaye nahi jaate
koi khaas hi hota hai palko main jo rehta hai
har kisi ko dil main basaya nahi jaata
saare sapno ki kiranay to ho jaati hai khud roshan
khawab pyaar ke soch samjh kar sajaye nahi jaate
Mit jaata hai sabkuch magar is pyaar ke riste main
kuch naqash kabhi dil se mitaye nahi jaate
unki judaai hamain bahut tadpati hai
hamari aankhain unke bina har pal ro deti hai
intejaar ke diye ab humse jalaye nahi jaate…

7.
Haal kuch aisa hai apna,
lagta hai jaisa koi sapna,
thi main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna,

Saath tera paake o jaana,
khwaab poore ho gaye hain,
har ghadi bas tera chehra,
bas wahi laage hai apna…

8.
Haal kuch aisa hai apna,
lagta hai jaisa koi sapna,
thi main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna,

Saath tera paake o jaana,
khwaab poore ho gaye hain,
har ghadi bas tera chehra,
bas wahi laage hai apna…

9.
Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein

Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein

Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein

Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein

Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein

Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein..

 10.
Pyaar Mein Milna Zaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi Sawarde,
Unhe Pana Ya Na Pana Zaruri Nhi…

11.
Aap ke Hone se Hamaari Khushi Judi Hui Hai…
Aap ki Aankho se Hamaari Roshni Judi Hui Hai…
Mat Karna Dur Apne HothoSe Ye Muskurahat…
Aap ki In Hansi se Hamaari Zindagi Judi Hui Hai…

12.
Unki nazar sharmayi huyi thi,
Nagin jaisi bal khayi huyi thi.
Maut ne jab ghunghat khola unka,
To jist bahut sharmayi huyi thi…

13.
Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai,
Mere Dil ko khusi se bhar deti hai,
khuda salamat rakhe apki hansi ko,
kyu ki apki Khusi hume zindgi deti hai…
`
Raat hai andheri or sunsan si
charo tarf chhayi hai ek virani
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi
andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti
taare apni roshni se raah hain dekhte
subha ko jane kaha woh gum ho jate…

Taare kitne pyare lagte hain sang hamare
chand to hai adhura akash mein
sang na hon agar ye sare
dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye
lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe…

Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai…

Chehra tera chan ton vi sohna
sohni hai teri chaal sohniye
tikhe nain katari varge
lai gaye ne dil mitraan da naal sohniye…

Raat me jugnu ki jagmgahat,
asma me taro ki zilmilahat
thandi vadio me hawao ki sarsrahat,
in sabse bhi khubsurat hai apke chehre ki muskrahat…

14.
Aankh mein aks or us aks mein jyoti or jyoti ka parkash ho aap,
Dil mein dhadkan or dhadkan mein aawaj iski har aawaj mein ho aap,
Jism mein saans or jism ki har saans mein ho aap,
SIRF AAP in teeno ke bina jina namumkin hai my love…

15.
Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai…..
Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai….
Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye……
Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hi Hai…..

16.
Tarsi hain ye nigahen deedar ko aapke,
ye dil to dhadakta hai sirf pyar mein aapke,
hum agar jeete hain to sirf sahare dosti ke aapke,
hum har pal ye kehte hain ki hum to sirf nacheej se dost hai aapke,
varna hamara to kya wajud tha jo apne dil mein basaya hai aapne……….

17.
Ek raat hai kuch aisi,aur raat pe mera pehra hai…
Tera bheega hua ye jism,saavan ka chehra hai…
Andher me bhi jgta tera husn,kya baat hai,
Teri aisi jawani ka dria to sch me,kuen se bhi gehra hai…

18.
Koi Es Tarha Muj Say Payar Kry
Main Jhot B Bolon Tau Aitbar Kry

Apni Chahat Ka B Muj Say Izhar Kry,
Jan Wo Jan E Ada Muj Py Nisar Kry.

Wo Mujy Chahy Tau Toot Kr Chahy,
Payar Wo Muj Say Be Shumar Kry.

Mery Bina Na Bany Farmula E Ishq,
Main Kahoon Tau Do Or Do Char Kry.

Dost Teri Hasrtoon Ko Mera Salam Hy,
Pagal He Hoga Koi Jo Tuj Say Payar Kry…..

19.
Jaise shayar ke sath khyal hota hai,kash sath tere mai aise ho jau….
Nikaal ske na dil se tu bhi,dil me tere aise kho jau….

20.
Mujhy Khamosh Raho Me Tera Sath Chaheay,
Tanha Hy Mera Hath Tera Hath Chaheay,

Mujh Ko Mere Muqadar Pritna Aqeen To Hy,
Tujhko B Mere Lafz Meri Baat Chaheay,

Main Khud Apni Shaar’iy Ko Kiya Acha Kaho,
Mujh Ko Teri Tareef Teri Daad Chaheay,

Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai,
Lakin Junoon-E-Ishaq Ko Teri Hae Sougat Chaheay,

Tu Mujhko Paany Ki Khawahish Rkhta Hai Shayd,
Lekin Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi Zaat Chaheay….

21.
Ager Zindagi Mai Judai Na Hoti
To Kabhi Kisi Ki Yaad Aai Na Hoti
Sath Hi Guzarta Her Lamha To Shayaed
Rishton Mai Yeh Gehrai Na Hoti..

22.
Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke…

Chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain…

Aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain…

Aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun..

Jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun…

Sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…

23.
Aaj Aasman Ke Taaro Ne Muje Puch Liya…
Kya Tumhe Ab Bhi Intejar He Uske Laut Aane Ka…
Mene Muskurakar Kar Kaha…
Tum Laut Aane Ki Bat Karte Ho…
Muje To Ab Bhi Yakin Nahi Uske Jaane Ka…………..

24.
Kaise Bhulu Un Zaalim Aankho Ko Mein..
Kar Di Hai Zindagi Meri Bezaar..
Jo Pyaar Ke Badle De Gayin Hai Bas Intezaar..

25.
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari
`
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain
`
Apko bhul jaye wo nazar kaha se laye….
Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye….
Nahi reh sakte app ke bina….
Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye……..
`
Chodh diya akele humme
kisi aur ke baahon mai simatne ke liye
phir bhi pyaas agar bhoojti nahi
mere aansoon ke tailab mai zara doob ke dekhiye..
`
Tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho,
door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho,
yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main…
faryaad karthe hain…dard ka bi koi insaaf ho..

26.
Youn Tou Koi Bhi Tanha Nahi Hota,
Chah Ker Kisi Se Juda Nahi Hota,
Mohabbat Ko Majborian Hei Le Dobtein Hein,
Warna Koi Khushi Se Bewafa Nahi Hota…
`
Jab laGe zakhm to Qaatil ko dua di JaYe…
Hai Yehi rasm to Yeh rasm uthaa di JaYe…
Hum se Poocho shayari kya hai, Shayari ka fun kya hai…
Chaar lafzon men koi aah chuPa di JaYe…
`
Hum gilla nahin karte….
jo na ho kismat mein vo mila nahin karte
zakhm kuch iss tarah khaaye hai dil pe humne
yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte
`
Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi
`
Meri deewangi ko dekh ke muskuraate hai kyu
mein jitna paas jau utna door jate hai kyu
kuch toh vajah zaroor hogi unki berukhi ki
mujhe aise har pal sataate hai kyu…

27.
Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad..
`
Har kadam pe dhoke milte rahege
par fiza me phool phir bhi khilte rahege
yeh haqeeqat hai lowg aksar badal jate hai
par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!
`
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat gum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge..
`
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the..
kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the ..
kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei..
bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the…
`
Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!

28.
Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade,
Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade,
Milna to likha hota hai Taqdiron me Par,
Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
`
Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha
Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha
Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse
Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha…
`
Paane se khone ka maza aur hai…
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai…
Aansoo bane lafz aur lafz bane shayari…
aur uss shayari main tere hone ka maza aur hai…
`
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
`
Unhone dekha aur aansu gir pade,
Bhari Barsaat mein jaise phool bikhar pade,
Dukh yeh nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh to yeh hain ki uske baad woh khud ro pade..

29.
Har Pal Saath Rehne Ki Kasam Khayi Hai,
Maine Har Rasm Ulfat Ki Nibhayi Hai,
Tum Daaman Bachakar Phoolon Mein Jaa Baithe Ho,
Mere Aangan Mein Sirf Tanhayi Hai.

30.
Bin Aapke Kuch Bhi Aacha Nahi Lagta,
Ab Mera Wajood Bhi Saccha Nahi Lagta.
Sirf Aapke Deedar K Intezaar Me Kat Rahi Hai Zindagi..,
Varna Kabki Maut Ki Aagosh Me So Jati Ye Zindagi.
Laut Aao K Aapke B’gair Ek Lamha Nahi Kat Ta
Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta…

31.
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho
`
Khwabon mein aate ho TUM
yaadon mein aate ho TUM
jahan mein jau jahan mein dekhu
mujhe nazar aate ho TUM
`
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte
`
Kuch nasha teri baat ka hai
Kuch nasha dhimi barsaat ka hai
Hum to kabse nashe me dub jaane ko tayyar hai
Intezar to sirf aapki mulakat ka hai
`
Mulakat maut ki mehman ban gayi hai
Nazar ki duniya veeran ban gayi hai
Meri sans bhi ab meri nahi rahi
Ye zindagi aapki mohabbat par kurban ho gayi hai…

32.
Usse Jab Yaad Aayega Wo Pehli Bar Ka Milna
Toh Pal Pal Yaad Rakhe Ga Ya Sub Kuch Bhool Jayega
Ussey Jab Yaad Ayega Guzre Mosam Ka Har Lamha
Toh Khud Hi Ro Parega Ya Khud Hi Muskrayega
`
Bottle main Pepsi say zyaada….
used Socks main smell say bhi zyaadaa….
Adnan Sami main charbi say zyaada…
Mithai main sweet say zyaada…
Pakistan main coruption say zzyaada… I LOVE U
`
Mohabbat seekh ker kerna.
K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota ha.
Girebaan taar hota ha.
Kabhi inkar hota ha Kabhi iqrar hota ha.
Mohabbat seekh ker kerna.
`
Kitna bhi chaho na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge
Humein mita sakte ho to mita do
yaadein meri, magar..
kya sapno se juda kar pao ge humein.
`
Tu Phul Hai Baharon Ki,
Tu Chand Hai Nazaron Ki,
Teri Kya Tareef Karoon,
Tu To Jaan Hai Mere Dil Ki.
`
ar subah ki dhundh kuch yaad dilati hai,
har phool ki khushboo ek jaadu jagati hai,
chahun na chahun kitna bhi,
par aapki yaad roz aa hi jati hai.
`
Pyaar to ahsash hai usake ijahar ka,
Juban ki jarurat kya hai,
Pyaar to khudai hai Usaki bandagi ki,
Numaish ki jarurat kya hai
`
Lafzo me kya tarif karu aapki,
Aap lafzo me kaise sama paoge,
Jub log hamare pyar k bare me puchenge,
Meri aankho me aye JAANU sirf tum nazar aoge.
`
Hum tere dil mai rahengee ek yad bankar,
Tere lab pe khilengee muskan bankar,
Kabhi apne se juda na samjana,
Hum tere sath chalege aasman bankar.
`
Risto me pyar ki mithas rahe,
Na Mitne wala ek Ehsas rahe
Kahne ko to Choti si hai Jindi,
Magar lambi ho jaye agar,
Apki dosti ka sath rahe…

33.
Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!
`
Har Koi jo keh sake ye wo ehsas nahi
Pyaar karte hain apse iska aur koi naam nahi
Mumkin hai baatein hamari alag ho zamane se
Khayal apka hai unme is baat se hame inkaar nahi
`
Ishq koi cheez nahi dil parchaan di
ishq ta kala hai dil lgaan di
ishq da soda kade keeta nahi janda
eh oh jaam hai jo peeta nahi janda
ki samjhava main oos bedard nu
ishq ho janda hai kade keeta nahi janda
`
Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai
`
pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna namumkin hota hai
`
Na hum khafa hen tum se meri jaan
Na koi faryad karte hai
Hum Sms bheje ya na bheje
Ye jan lo tum Hum tumhen har pal YAAD karte hai
`
Choti Si Dosti,
Anjaani Mulakaatein;
Pal Bhar Mein Khatam Hote Din,
Khayalon Mein Doobi Lambi Raatein;
Yahin Se Shuru Hota Hai Pyaar, Hai Na..??
`
Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do
`
Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye
`
Likhne se Pehle salam karte hai
Dard-e-dil se paigam karte hai
Ye mat samajhna ki hum bhul gaye hai tumhe
Yaad to tumhe hum subha-sham karte hai…

34.
Kaun ho tum?
Jo mere dilo-dimag par
Is tarah chh gaye ho

Kaun ho tum
jo is tarah chupke se
Meri jindagi me aa gaye ho

Kabhi door lagte ho , bahut door
Kabhi paas , ekdam paas
Pal men hota hunk hush
Pal men udas.

Hari ghas aur hari ho gai hai
Aur neela aasman aur bhi
Neela ho gaya hai
Phir bhi kuchh hai
Jo kho gaya hai.

Kaun ho, tum
jo meri neend udathe ho
tum jo mera chain churate ho

tum jo meri dhadkanon men sama gaye ho
tum jo is tarah chupke se
meri jindagi me aa gaye ho

kaun ho?
Kaun ho tum

35.
Meri jaan se bhi pyare ho tum,
mere tamam hasraton ki manzil ho tum,
mere dil ki har khushi ho tum,
barson tarsi jis pyar ko me,
us pyar ka arman ho tum,
meri jaan se bhi pyare ho tum…

36.
Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaoo,
Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaoo,
Na behne du kabhi in aakho se aansu,
Tu kahe to tere saare sitam sah jaoo.

Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha,
Chumkar jinhe woh pyaari muskaan de jaoo,
Seene se laga ke rakhu tumhe,
mann to karta hai tujhme sama jau.

Sunti hi rahu tumhari dhadkano ko,
aur apne dil ki har baat kah jau,
gum ko kabhi kareeb na aane du,
aur tumhe zindage ki khushiya tamaam de jaoo


No comments:

Post a Comment